UMANG App Kya Hai Janiye Eski Service Ke Bare Me

Abhi hal hi me government  ne Umang app lunch kiya jiski help se aap bahut sari free service ka laabh le sakte hai . Yah app Ministry of Electronics and Information Technology (MeitY) or National e-Governance Division (NeGD) dono ne milkar start kiya hai . Es app me aap free me aadhar ya mobile number dalkar free sing up kar sakte hai


UMANG App Ki Service Ke Bare Me Jankari

Umang app ko launch karte hi government ne bahut sari service esme already de di hai or bad me bhi bahut si new service add karne vali hai me aapko eski service ke bare me btata hu

CBSE : Agar aap cbse student hai to aap apna exam center details or results es app ki help se dekh sakte hai 

NCERT :  student ke liye yah service bahut hi khas hai ncert ki books aapko umang me subject wise padne ko mil jayegi vo bhi bahut aasani se

AICTE: aap AICTE approved institutes or courses ke bare me search  kar sakte hai

Soil Health Card: aap apni khet ki soil ki health report check kar sakte hai

PMKVY : Pradhan Mantri Kaushal Vikas Yojana ke bare me aap dekh sakte hai


 Crop Insurance: aap apni fasal ka insurance kar sakte hai

 ORS: Online Registration System aap india ke top leval ke hospital me appointments book kra sakte hai umang app se


UMANG App Kaise Use Kare ? 

Sabse pahle aap apne android mobile me play store open kare or usme umang likhkar search kare aapko result me first app show hoga usko install karle


App install karne ke bad aapko usme apna new account banana hai account banane ke liye new user par click karke apne aadhar ya mobile number se registration karna hoga 




agar aap aadhar id se account create karte hai to aapke aadhar me register mobile number par otp aayega fir aap registration kar payenge 
 
ab aapko UMANG app ke bare puri jankari mil gyi hogi eski sabhi service ko use karne ke liye all service option par click kare 

meri yah jankari aapko kaisi lagi comment karke bataye ...

Comments

Popular posts from this blog

Bank Balance Kaise Check Kare

Quora Kya Hai सवाल जवाब का एक बेहतरीन प्लेटफार्म

Google Pay Se Paise Kaise Kamaye