Aadhaar Enrollment Center Search Kaise Kare

Aap or ham sabhi ke liye aaj ke time me aadhar card id proof ke liye ek jruri document ban gya hai har jagah har govt office me aadhar card ek anivary document ban gya hai aap jab apna new aadhar card bnana chahte hai to aapko apne area me aadhar center ka pta hona chahiye me aapko es post me aadhar enrolment center search karne ke bare me jankari dene ja rha hu

Aadhar Enrollment Center Search

aadhar se ralated koi bhi jankari pta karni ho to hme eski officail website par jana hoga vha aapko aadhar ke bare me puri jankari milegi

Aadhar Center Search Kaise Kare Puri Jankari

ab me aapko aadhar enrollment centre search kaise kare uske bare me step wise jankari dene ja rha hu sabse pahle aap aadhar ki website open kare jiska link me yha de rha hu - 

                                                             https://uidai.gov.in

aadhar ki website open karne ke bad niche scroll down kare usme aapko Get aadhar vale section me locate an enrolment center ka option milega usko click karke open kare

uidai website


locate an Aadhaar Enrolment Center 

Yah page open hone ke bad aapke samne 3 option aayenge unke bare me me aapko details se jankari deta hu

State - Ye option ko click karke aap apne area me me aadhar center search karne ke liye sabse pahle state select kare uske bad districk select kare fir apna tahseel or fir apna village select kare fir aapko apne area ke aadhar update center ki jankari milegi

Postal Pin Code - Ye option me aap direct apna area ke postel pin code enter karke apne area ke aadhar center ka pta lga sakate hai

Search Box - ye option click karenge to aapke samne ek search box open hoga jisme aapko apne area ka naam dalna hai fir aapko aage badna hai jisse aapko apne area ke aadhar update center ka pta laga sakate hai

aadhar center

ye tin option se aap aadhar enter ka pta kar sakte ho an me aapko batane ja rha hu postal pin code se kaise aadhar center ka pta sakte hai 

sabse pahle aap postel pin code ke option par click kare fir usme apne postal area ka pin code enter kare or fir captcha code dalkar locate a center par click kar de

aadhar center search

ye process pura karne par aapke area ke aadhar center ke bare me puri jankari mil jayegi jo ki kuch es tarah dikhayi degi

aadhar enrollment center


aapko apne area ke aas pass ke bank ya post office ka naam or adress pta chal jayega aap us adress ke hisab se us bank ya post office me jakar apna new aadhar card banva sakte ya aadhar correction karwa sakte hai

Aadhaar Enrollment Center Search Karne Ka Video

agar aapko ye process samaj nhi aa rha hai or ese video se samajna chahte hai to mene eske bare me apne youtube channel par video bhi upload kiya jise aap yha se dekh sakte ho 


umid hai mera yah video or post pasand aaya hoga es post me bare aapka koi vichar ho comment me jarur bataye or me umid karta hu ki aap ab aasani se aadhar enrollment center search kar payenge.

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Bank Balance Kaise Check Kare

Quora Kya Hai सवाल जवाब का एक बेहतरीन प्लेटफार्म

MS Word Shortcut Keys